qafas ki tiliyan hain aur main hun watan se duriyan hain aur main hun wahi pahle ke jaisi be-qarari wahi be-khwabiyan hain aur main hun muqayyad ahd-e-mazi ke khandar mein meri khush-fahmiyan hain aur main hun na jugnu hai na hai koi sitara ajab tarikiyan hain aur main hun meri tarik raaton ke mushahid jharoke khidkiyan hain aur main hun mere ghar mein barae-ham-nawai meri tanhaiyan hain aur main hun wahi nasazi-e-qismat ki mujh par karam-farmaiyan hain aur main hun na badla hai na badlega ye lahja wahi be-bakiyan hain aur main hun wahi haalat se jehd-e-musalsal wahi nakaamiyan hain aur main hun