kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra hai tu tera hi aks numayan hai dusra puchh us ki mat khabar jise naseh siye tha to wo dhajjiyan uda ye gareban hai dusra shakl un ki ye hai jo ki hain mahw-e-jamal-e-yar shashdar khada hai ek to hairan hai dusra rukh us ka dekhiyo shab-e-mahtab mein koi goya zamin pe ye mah-e-taban hai dusra kya dil jigar ki kahiye tamanna-e-wasl mein hasrat bhara hai ek pur-arman hai dusra wadi-e-ishq mein hamein barson yun hi kate ek dasht tai kiya ki bayaban hai dusra tere khiram-e-naz ke sadqe ki kab koi aisa chaman mein sarw-khiraman hai dusra gham-khwar-o-munis ab tere bimar ke hain yun taskin ek de to hirasan hai dusra 'jurat' ghazal padh aur ek aisi ki sab kahen kab is tarah ka koi ghazal-khwan hai dusra