un ka wada badal gaya hai farda aansu mein dhal gaya hai tanhai se kuchh hui hain baaten tanhai se dil bahal gaya hai mamul-e-nazar wahi hai lekin mafhum-e-nazar badal gaya hai ruk ja ai karwan-e-imroz mazi mera kuchal gaya hai sahil pe nigah aankh walo andha tufan machal gaya hai saghar mein sharab hai ki yaro angara koi pighal gaya hai kis shokh nigah ka tasawwur rukhsaron pe rang mal gaya hai utthega zarur ek na ek din fitna filhaal tal gaya hai saqi tere mai-kade mein aa kar insan zara sambhal gaya hai dekha ai inqilab tujh ko taswir ka rukh badal gaya hai maghrib ke ufuq pe hai tabassum suraj mashriq mein dhal gaya hai wo aae hain yaad sham-e-hasrat ya koi charagh jal gaya hai manzil pe 'shamim' ko na paya shayad aage nikal gaya hai