kab hawa mutthi mein aati hai abas dauda kiya jaane kya kya kal yunhi main raat-bhar socha kiya ab to is tark-e-talluq mein mujhe bhi lutf hai jo kiya tum ne meri khatir bahut achchha kiya jaise wo bhi falsafe ke nukta-e-pechida hon meri baaten mere badle ghair se samjha kiya phir mujhe daryaft karne ki use hasrat rahi wo mujhe dimak lage auraq mein dhundha kiya khu mein chahe tund ho dil se nihayat nek hai bhul kar sab pichhli baaten mere pas aaya kiya tishnagi mera muqaddar hai mujhe pani se kya jaanta tha phir bhi khema nahr par barpa kiya kal wahi shab thi jo aati hai nasibon se magar aur sab sote rahe bas ek main jaga kiya jab nai aawaz utthi qatl karne aae log ek madari sanp ka sar man kar kuchla kiya