koi bhi duniya mein apna ham-nawa milta nahin

koi bhi duniya mein apna ham-nawa milta nahin
naghma-zan hain saikdon nauha-sara milta nahin

hae wo din jab ki rona bhi nashat-ahang tha
ab hansi mein bhi hamein koi maza milta nahin

main mita kya pas-e-namus-e-wafa bhi mit gaya
us ke sang-e-astan ko jabha-sa milta nahin

tere naghmon se na hogi mujh ko taskin andalib
naghma-e-gham se mere naghma tera milta nahin

shukr un ke ishq ka lazim hai ai dil shukr kar
dard to milta hai dard-e-la-dawa milta nahin

khak rahta is hujum-e-na-umidi mein nishan
mit gae sab koi naqsh-e-muddaa milta nahin

karte ho nazzara-e-bismil se kyon sarf-e-nazar
kya shahidan-e-nigah ka khun-baha milta nahin

un ki bazm-e-raaz mein ja kar hum aise kho gae
kuchh pata az-ibtida-ta-intiha milta nahin

us ka kabe mein na milna khair ye ek baat hai
but-kadon mein kyon wo kafir aashna milta nahin

karte hain duzdida nazron se wo bismil jis tarah
us ada ka koi khanjar-azma milta nahin

jama hain har chand saman-e-masarrat har taraf
chain is dil ko magar tere siwa milta nahin

dekh kar us ko jo sabr aae to hum jaanen 'junun'
sabr jab tak hai ki wo sabr-azma milta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close