marka jab chhid gaya to kya hua hum se suno kushtagan-e-shahr-e-khun ka majra hum se suno kyun shajar sukhe hue hain kyun nahin barg o samar mausamon ne is chaman mein kya kiya hum se suno parda-e-sad-rang-hairat khana-e-nairang mein kaun hai aaina-andar-aina hum se suno taq o dar mein kyun charaghon ki lawen khamosh hain kya hua wo raushni ka silsila hum se suno aur ye chashm-e-tamasha band ho jati hai jab parda-e-dil par nazar aata hai kya hum se suno kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno