kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha naseh mera dil is teri taqrir se uljha dil yar ki jo zulf-e-girah-gir se uljha saudai tha achchha hua zanjir se uljha zanjira-e-har-satr hai zanjir ke manind dil nama-e-dildar ki tahrir se uljha abru ki mohabbat nahin achchhi kabhi ai dil wo qatl hua saf jo shamshir se uljha kothe pe khade baal sukhate hain wo yani lije dil-e-alam isi tadbir se uljha dil hai jo giraftar teri chin-e-jabin ka is dam mein main khubi-e-taqdir se uljha saffak zara kijiyo to is ko samajh kar ek tar-e-rag-e-jaan hai tere tir se uljha baala-e-falak mah se haale pe padi os haala jo kali ki teri zanjir se uljha sad-chaak hua yan dil-sauda-zada apna shana jo wahan zulf-e-girah-gir se uljha sad-shukr khuda hath rakha dosh pe mere jab paicha pa-e-but-e-be-pir se uljha 'daula' tu wo hai saf chhuta khalq-e-khuda se ek rishta-e-akhlaq-e-jahangir se uljha