kabhi zamin na kahin aasman se niklega hamara raaz kisi raaz-dan se niklega wo ek ashk meri aaqibat sanwarega shab-e-firaq jo chashm-e-ayan se niklega mujhe khabar hai meri maut ka sabab mere dost bas ek tir tumhaari kaman se niklega main na-rasai se imkan khoj leta hun mera yaqin bhi mere guman se niklega jo bewafai se tabir kar raha hai mujhe wo kam-shanas meri dastan se niklega use nikala gaya tha bahisht se pahle ab us ke baad ye aadam jahan se niklega ab aur zabt karega to 'abdi' tera shakeb aankh ke sail-e-rawan se niklega