kal jo rone par mere tuk dhyan us ka pad gaya hans ke yun kahne laga kuchh aankh mein kya pad gaya? baithe baithe aap se kar baithta hun kuchh gunah panw padne ka jo us ke mujh ko chaska pad gaya jang-jui kya kahun us ki ki kal-parson mein aah sulh tuk hone na pai thi ki jhagda pad gaya sozish-e-dil kuchh na puchho tum ki tuk sine pe raat hath rakhte hi hatheli mein phaphula pad gaya bas ki tha be-baal-o-par main daman-e-sayyaad par khun bhi ud kar dam-e-bismil na mera pad gaya jo mere bad-go hain tum un ko samajhte ho bhala wah-wa mujh se tumhein ye bair achchha pad gaya kyun pada dam todta hai bistar-e-gham par dila aah kis be-dard ke milne mein toda pad gaya behtari ka munh na dekha mar hi kar pai najat kudhte kudhte dil mera bimar aisa pad gaya baaten karte karte pyare dil dhadakne kyun laga sun ke kuchh aahat kaho kya dil mein khatka pad gaya ruk gaya aisa hi wo jo phir na aaya kal jo tuk hath us ke panw par bhule se mera pad gaya main to yan is baat par apne pada malta hun hath aur sare shahr mein kuchh aur charcha pad gaya garche hun main nam ko 'jurat' par ab us ki taraf aankh utha sakta nahin ye dil mein khatra pad gaya