kanTon ko chum le na koi iztirab mein

kanton ko chum le na koi iztirab mein
rakh di hai kis ne aap ki khushbu gulab mein

mahka raha hai aaj bhi mere wajud ko
rakkha tha ek gulab jo tu ne kitab mein

tha kis ki aastin pe maqtul ka lahu
likkha gaya hai qatl ye kis ke hisab mein

phirta hun lash kandhon pe apni liye hue
sadme uthae main ne wo ahd-e-shabab mein

puchha tabib se jo gham-e-ishq ka ilaj
likkha hai us ne ishq-e-mukarrar jawab mein

padti hain jis taraf ye giraati hain bijliyan
rakhiye nigahen apni khudara naqab mein

dastak pe un ki raat achanak main chaunk utha
puchha jo main ne kaun wo bole janab main

shayad gham-e-hayat ki talkhi mita saken
pine laga hun ashk mila kar sharab mein

hamrah ishq bhi hai gham-e-zist bhi 'fahim'
main mubtala hun in dinon duhre azab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close