man ke mandir mein hai udasi kyun nahin aai wo dew-dasi kyun abr barsa baras ke khul bhi gaya rah gai phir zamin pyasi kyun ek khushi ka khayal aate hi chha gai zehn par udasi kyun zindagi bewafa azal se hai phir bhi lagti hai ba-wafa si kyun aisi fitrat-shikar-duniya mein itni insan-na-shanasi kyun kyun nahin ek zahir-o-baatin aadmi ho gae siyasi kyun gham-gusari khulus mehr-o-wafa ho gae hain ye phul basi kyun ek haqiqat hai jab watan ki talab phir mohabbat karen qayasi kyun ye mulaqat ye sukut ye sham ibtida mein ye intiha si kyun milne wale bichhad bhi sakte hain teri aankhon mein ye udasi kyun