kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara har lamha guzarta hai khatawar hamara marna bhi jo chahen to wo marne nahin dega jina bhi kiye rahta hai dushwar hamara achchha hai udhar kuchh nazar aata nahin hum ko jo kuchh bhi hai wo sab pas-e-diwar hamara ek roz to ye fasla tai kar ke rahenge hai kab se koi muntazir us par hamara hum ko ye khushi hai ki idhar aae to patthar hai shahr mein koi to talabgar hamara koi to ye tanhai ka ehsas mitae koi to nazar aae taraf-dar hamara hum ne to 'hayat' aas lagai hai khuda se hai us ke siwa kaun madad-gar hamara