kai sitare yahan tutte bikharte hain sab apni satha se aakhir kahan ubharte hain na jaane kitne azabon mein mubtila hum hain isi liye to nai aarzu se darte hain hum ek bar muhayya na kar sake tujh ko hazar rang teri justuju mein bharte hain ye jugnuon ki chamak raushni nazar bhar ki hawa mein udte musafir kahan thaharte hain nafas nafas ke liye silsile talash karo hamesha log yahan qurbaton pe marte hain main koi bahta hua be-karan samundar hun ek aaine mein hazar aaine ubharte hain wo pastiyan isi insan ka muqaddar hain bulandiyon se farishte jahan utarte hain ho apna qurb mayassar to kuchh bataen bhi kahan kahan se tere sath hum guzarte hain 'hayat' kuchh to kaho doston ki mahfil mein ghamon ki bhid mein apne bhi gham nikharte hain