wo zulf hai to harf-e-tatar-o-khutan ghalat is lab ke hote nam-e-aqiq-e-yaman ghalat aaya hai jab sen bagh taraf wo kitab-ru tab sen hua hai safha-e-barg-e-saman ghalat baithe sukhan mein wada-khilafi ka bol kyun hargiz nabol' bol ai shirin-dahan ghalat darta hun us bhawon ke ishaarat sen dam-ba-dam hota nahin hai saif-zuban ka sukhan ghalat raushan hai ai 'siraj' ki fani hai sab jahan mutrib ghalat hai jam ghalat anjuman ghalat