kab se nazar lagi thi darwaza-e-haram se parda utha to ladiyan aankhen hamari hum se surat-gar-e-ajal ka kya hath tha kahe to khinchi wo tegh-e-abru faulad ke qalam se sozish gai na dil ki rone se roz-o-shab ke jalta hun aur dariya bahte hain chashm-e-nam se taat ka waqt guzra masti mein aab raz ki ab chashm-dasht us ke yan hai faqat karam se kudhiye na roiye to auqat kyunke guzre rahta hai mashghala sa bar-e-gham-o-alam se mashhur hai samajat meri ki tegh barsi par main na sar uthaya hargiz tere qadam se baat ehtiyat se kar zaea na kar nafas ko baalidgi-e-dil hai manind-e-shisha dam se kya kya tab uthae kya kya azab dekhe tab dil hua hai utna khugar tere sitam se hasti mein hum ne aa kar aasudgi na dekhi khultin na kash aankhen khwab khush adam se pamal kar ke hum ko pachhtaoge bahut tum kamyab hain jahan mein sar dene wale hum se dil do ho 'mir' sahab us bad-maash ko tum khatir to jama kar lo tak qaul se qasam se