main pahron ghar mein pada dil se baat karta hun jab us ke shakl-o-shamail se baat karta hun ba-waqt-e-zabh bhi hilte rahen hain lab mere zi-bas-ki khanjar-e-qatil se baat karta hun meri zaban ko mera ham-nawa hi samjhe hai main nim zabh hun bismil se baat karta hun na naqa aur na mahmil raha main saudai hanuz naqa o mahmil se baat karta hun hai in dinon meri aawaz mein yahan tak zoaf ki apne sath bhi mushkil se baat karta hun samajh na mauj mere munh mein hain hazaron zaban main bahr hun lab-e-sahil se baat karta hun maza mile hai mujhe us ki ham-kalami ka main us ke dar ke jo sail se baat karta hun ba-waqt-e-aina didan bulaun main to kahe main apne aashiq-e-mail se baat karta hun jo 'mushafi' ki sifarish karen to bole wo shokh main aise nang-e-qabail se baat karta hun