rashk kahta hai ki us ka ghair se iKHlas haif

rashk kahta hai ki us ka ghair se ikhlas haif
aql kahti hai ki wo be-mehr kis ka aashna

zarra zarra saghar-e-mai-khana-e-nai-rang hai
gardish-e-majnun ba-chashmak-ha-e-laila aashna

shauq hai saman-taraaz-e-nazish-e-arbab-e-ajz
zarra sahra-dast-gah o qatra dariya-ashna

main aur ek aafat ka tukda wo dil-e-wahshi ki hai
aafiyat ka dushman aur aawargi ka aashna

shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar na rahna chahiye
mera zanu monis aur aaina tera aashna

kohkan naqqash-e-yak-timsal-e-shirin tha 'asad'
sang se sar mar kar howe na paida aashna

khud-parasti se rahe baham-digar na-ashna
bekasi meri sharik aaina tera aashna

aatish-e-mu-e-dimagh-e-shauq hai tera tapak
warna hum kis ke hain ai dagh-e-tamanna aashna

jauhar-e-aina juz ramz-e-sar-e-mizhgan nahin
aashna ki ham-digar samjhe hai ima aashna

rabt-e-yak-shiraaza-e-wahshat hain ajza-e-bahaar
sabza begana saba aawara gul na-ashna

be-dimaghi shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar nahin
yar tera jam-e-mai khamyaza mera aashna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close