kya kahiye kaTi hijr ki kyunkar tamam raat

kya kahiye kati hijr ki kyunkar tamam raat
aah-e-jigar-gudaz thi lab par tamam raat

aaya na karke wada jo dilbar tamam raat
betab dil tha jaan thi muztar tamam raat

wo mahw-e-khwab-e-naz jo baala-e-baam the
nikla na sharm se mah-e-anwar tamam raat

aaraishon ka shauq yahi hai to aa chuke
banti rahegi zulf-e-moambar tamam raat

sone diya na us but-e-ghaflat-shiar ko
afsana dard-e-dil ka suna kar tamam raat

bedariyan na puchhiye hum khufta-bakht ki
kati hai yunhi jag ke aksar tamam raat

thanka na un ka matha na chaunke wo nind se
dar par patakta rah gaya main sar tamam raat

aankhon mein main ne subh shab-e-intizar ki
ginta raha hun baith ke akhtar tamam raat

mizhgan ki yaad thi jo shab-e-hijr-e-yar mein
chubhta raha hai sine mein nashtar tamam raat

betab kar rahi hain teri be-qarariyan
tadpa karega kya dil-e-muztar tamam raat

allah re zoaf uf ri ghashi hijr-e-yar mein
murda sa tha pada sar-e-bistar tamam raat

gesu ki yaad aur shab-e-tar hijr ki
kali bala sawar thi sar par tamam raat

surma laga raha hai fusun-saz aankh mein
jadu jagaega wo fusun-gar tamam raat

bhar din hain hijr-e-yar ne rag-rag mein bijliyan
tadpun na shakl-e-barq main kyunkar tamam raat

thi yaad mein jo saqi-e-kausar ki chashm-e-mast
pita raha hun baada-e-athar tamam raat

sajda main shukr ka karun ai 'badr' waqt-e-subh
daulat jo wasl ki ho mayassar tamam raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close