kab talak ye sitam uthaiyega ek din yunhi ji se jaiyega shakl taswir-e-be-khudi kab tak kaso din aap mein bhi aaiyega sab se mil chal ki hadse se phir kahin dhunda bhi to na paiyega na mue hum asiri mein to nasim koi din aur baw khaiyega kahiyega us se qissa-e-majnun yani parde mein gham sunaiyega us ke pa-bos ki tawaqqoa par apne tin khak mein milaiyega us ke panw ko ja lagi hai hina khub se hath use lagaiyega shirkat-e-shaikh-o-barahman se 'mir' kaba-o-dair se bhi jaiyega apni dedh int ki jaddi masjid kisi virane mein banaiyega