sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain khak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain thin banat-un-nash-e-gardun din ko parde mein nihan shab ko un ke ji mein kya aai ki uryan ho gain qaid mein yaqub ne li go na yusuf ki khabar lekin aankhen rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain sab raqibon se hon na-khush par zanan-e-misr se hai zulekha khush ki mahw-e-mah-e-kanan ho gain ju-e-khun aankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq main ye samjhunga ki shamen do farozan ho gain in pari-zadon se lenge khuld mein hum intiqam qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gain main chaman mein kya gaya goya dabistan khul gaya bulbulen sun kar mere nale ghazal-khwan ho gain wo nigahen kyun hui jati hain ya-rab dil ke par jo meri kotahi-e-qismat se mizhgan ho gain bas-ki roka main ne aur sine mein ubhrin pai-ba-pai meri aahen bakhiya-e-chaak-e-gareban ho gain wan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya jawab yaad thin jitni duaen sarf-e-darban ho gain jaan-fiza hai baada jis ke hath mein jam aa gaya sab lakiren hath ki goya rag-e-jaan ho gain hum muwahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum millaten jab mit gain ajza-e-iman ho gain ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj mushkilen mujh par padin itni ki aasan ho gain yun hi gar rota raha 'ghaalib' to ai ahl-e-jahan dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho gain