maslakh-e-ishq mein khinchti hai khush-iqbaal ki khaal bhed bakri se hai kam-qadr bad-amal ki khaal jis ki bose ke tasawwur se chhile gal ki khaal tab kya lawe araq ponchhte rumal ki khaal naqsh us ka bhi kiya daur-e-falak ne baatil thi jo kawe ke alam se bandhi iqbaal ki khaal nahin qassab-e-ajal se koi be-gham hargiz postin chhine ye munim ki to kangal ki khaal tan-dahi jab na karen kaam mein ustad ke ye qumchiyon se na udhede wo phir atfal ki khaal band rumi hai samor us ke pa kaam aan-rozon dekhne mein kabhi aai na thi is jal ki khaal bad-gumani na ho kyun tab ke gae par afzun dekh ukhde lab-e-mashuq ke tabkhal ki khaal malik-ul-mulk nasara hue kalkatte ke ye to nikli ajab ek waza ki janjal ki khaal jhurriyan kyun na paden umr-e-fuzun mein munh par tan pe jab lae shikan pir-e-kuhan-sal ki khaal shams-tabrez ne murde ko kiya tha zinda shara ne khinchi abas aise khush-amal ki khaal kaam az-bas-ki zamane ka hua hai bar-aks chor khinchwae hai is ahd mein kotwal ki khaal nafas-e-garm se leta hai wo iksir bana dhonkni dam ki hai shaer ke zar-o-mal ki khaal itne be-kar nahin jaanwar-e-abi bhi dastanon ke to kaam aati hai ghadiyal ki khaal fikr mein mu-e-kamar ki tere hairan rahe wahi daqqaq jo khinche hai sada baal ki khaal itna maqdur mujhe dijo tu ai mehdi-e-din mare kodon ke uda dun khar-e-dajjal ki khaal dagh-e-dil chhin gaya yun sozan-e-mizhgan se teri jis tarah howe mushabbak kisi ghirbaal ki khaal nahin be-wajh giraftari-e-darwesh is mein aahu o sher ki hoti hai ajab haal ki khaal jis ke har dane se ek qatra-e-khun tapke hai hai mandhi myan pe qatil ke ajab haal ki khaal tan ko piri mein riyazat se dabaghi kar dun 'mushafi' charse ka charsa hai ye aur khaal ki khaal