kabhi tawil kabhi mukhtasar bhi hoti hai har ek raat ki lekin sahar bhi hoti hai mujhe azal se mila ek to mizaj-e-junun aur ek ada teri diwana-gar bhi hoti hai nigah-e-yar ne kya kya khila diye hain gul wahi rulati wahi chaara-gar bhi hoti hai itab-e-dost bhi kyon kar aziz ho na mujhe karam ki us mein chhupi ek nazar bhi hoti hai 'habib' aankh se tapki hui ye ashk ki bund jigar ka khun kabhi ye guhar bhi hoti hai