kaba o dair mein jalwa nahin yaksan un ka jo ye kahte hain tatole koi iman un ka justuju ke liye niklega jo khwahan un ka ghar bata dega koi mard-e-musalman un ka tu ne didar ka jin jin se kiya hai wada hae re un ki khushi hae re arman un ka apne mitne ka sabab main bhi bata dun ai shauq kash chhu jae meri khak se daman un ka chhod kar aae hain jo subh-e-watan si shai ko martaba kuchh to samajh sham-e-ghariban un ka jin ki aaghosh-e-tasawwur mein hai wo hur jamal kahin sach ho na yahi khwab-e-pareshan un ka jo is uljhao ke khud hain mutamanni dil se kya bigadegi teri zulf-e-pareshan un ka sar mein sauda-e-khirad panw mein zanjir-e-shukuk bhed paega na is shakl se insan un ka hum dua den tujhe dil khol ke ai pahlu-e-tang tut kar sine mein rah jae jo paikan un ka chaak karne ka hai ilzam mere sar nahaq hath un ke hain hum un ke hain gareban un ka wo mita kyun nahin dete mujhe hairat to ye hai un ke kahne mein hai dil dil mein hai arman un ka un shahidan-e-mohabbat mein to main saf kahun koi itna nahin pakde jo gareban un ka wahi aise hain ki khamosh hain sab ki sun kar sab ko dawa hai ki hun banda-e-farman un ka pahle hum niyat-e-khalis se wazu to kar len thahar ai khak thahar pak hai daman un ka chahen dozakh mein utaren ki jagah khuld mein den dakhl kya ghair ko ghar un ke hain mehman un ka kahin paiwand ki koshish kahin tadbir-e-rafu jama-e-tan se bahut tang hai uryan un ka kijiye shana o aaina ki haalat pe nigah sina-sad-chaak koi hai koi hairan un ka man lo panw se zanjir bhi utri lekin bhag kar jae kahan qaidi-e-zindan un ka jin shahidon ne ba-sad-dard tadap kar di jaan chhin gaya hath se jita hua maidan un ka hum to kya chiz hain jibril to ja len un tak rok leta hai farishton ko bhi darban un ka mast jate hain kharabaat se masjid ki taraf rah pur-shor hai allah nigah-ban un ka hum shab-e-hijr ke jage na qayamat mein uthen jab talak khwab se chaunkae na arman un ka wahm tu hi khalal-andaz hua hai warna kaun juya nahin ai rahzan-e-iman un ka din qayamat ka dhala sab ne muraden pain rah gaya dekh ke munh taba-e-farman un ka marne walon ka agar sath diya pura kar le janaza bhi utha hasrat o arman un ka haq jatate hain shahidan-e-mohabbat bekar kya ye marna tha bada kar-e-numayan un ka 'shad' ghabra gaya ek umr se jite jite wo bula len mujhe is waqt to ehsan un ka