kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun mile bhara hua saghar to dagdaga ke piyun hazar talkh ho pir-e-mughan ne jab di hai khuda na-karda jo main munh bana bana ke piyun maza hai baada-kashi ka wahin to ai saqi piyun jo ab to tere aastan pe aa ke piyun baghair jalwa dikhae rahe na ye mashuq jo sat parde ke andar use chhupa ke piyun main wo nahin ki khud apne qadah ki khair manaun piyun to bazm mein das panch ko pila ke piyun zamin pe jam ko rakh de zara thahar saqi main tujh pe hun lun tasadduq to phir utha ke piyun wo mai-kada hai na saqi hai kuchh na puchho 'shad' main kis ke ghar mein piyun kis ke ghar se la ke piyun