kabhi kitabon mein phul rakhna kabhi darakhton pe nam likhna hamein bhi hai yaad aaj tak wo nazar se harf-e-salam likhna wo chand chehre wo bahki baaten sulagte din the mahakti raaten wo chhote chhote se kaghazon par mohabbaton ke payam likhna gulab chehron se dil lagana wo chupke chupke nazar milana wo aarzuon ke khwab bunna wo qissa-e-na-tamam likhna mere nagar ki hasin fazao kahin jo un ka nishan pao to puchhna ye kahan base wo kahan hai un ka qayam likhna khuli fazaon mein sans lena abas hai ab to ghutan hai aisi ki chaaron jaanib shajar khade hain salib-surat tamam likhna gai ruton mein 'hasan' hamara bas ek hi to ye mashghala tha kisi ke chehre ko subh kahna kisi ki zulfon ko sham likhna