nae fitnon ke har jaanib se itne sar nikal aae zamin par jis tarah sabza nami pa kar nikal aae bahut hoshiyar logo is nai tarikh ke hathon na jaane kab tumhaara ghar kisi ka ghar nikal aae kahin ke phul-patte hain kahin ke phal kahin ke hain kuchh aise ped bhi bhaarat ki dharti par nikal aae dar-e-taqdis ko jab wa kiya to qasr-e-hurmat se bataun kya tumhein ki kitne saudagar nikal aae tumhaara aur tumhaare nazm ka us roz kya hoga kabhi socha hai diwaron mein jis din dar nikal aae 'saadat' aap is dida-waron ki bhid mein dhundhen bahut mumkin hai un mein koi dida-war nikal aae