kabhi baatil ko haq aur haq ko hum baatil samajhte hain murad-e-ahl-e-dil ko sirf ahl-e-dil samajhte hain dil-e-be-muddaa hi muddaa-e-zist hai apna isi be-hasili ko zist ka hasil samajhte hain ye tera nur wo tera makan dil kya nazar kya hai nazar ko hum nazar samjhe na dil ko dil samajhte hain kinaron par jo uthte hain wo tufan koi kya jaane hamein to kam-nazar aasuda-e-sahil samajhte hain yahi apna aqida hai koi kuchh bhi kahe hum to ghazal kahna bhi kar-e-khair mein dakhil samajhte hain jila mahsus hoti hai 'naim' aaina-e-dil par kisi ki hum nigah-e-lutf ko shamil samajhte hain