khushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai abhi to pahuncha hai aablon tak mera mazaq-e-barhana-pai tere mufakkir samajh na pae mizaj-e-tahzib-e-mustafai usul-e-johd-e-baqa ke bande buland hai zauq-e-khud-fanai khalil mast-e-mai-e-junun tha magar main tum se ye puchhta hun raza-e-haq ki chhuri ke niche hayat aai ki maut aai jo qillat-e-sim-o-zar ka gham hai to aao qaisar ke jaanashino tumhaari khatir zara jhuka dun main apna ye kasa-e-gadai baja tera naz-e-be-niyazi magar ye insaf bhi nahin hai ki teri duniya mein tere bande buton ki dete phiren duhai nadim tarikh-e-fath-e-danish bas itna likh kar tamam kar de ki shatiran-e-jahan ne aakhir khud apni chaalon se mat khai chalo ki 'faruq' mai-kade mein dimagh taza to pahle kar len phir aa ke ahl-e-haram ko denge payam-e-tajdid-e-parsai