laga ke dil kabhi aansu bhi hum baha na sake lagi jo aag jigar mein use bujha na sake kiya zaif tere qasd-e-justuju ne hamein ki ta-lahad bhi hum apne qadam se ja na sake wo aaj bazm mein tewar chadhae aae hain ki haal-e-dil koi apna unhen suna na sake azal se nam pe mere farogh likkha tha wo mujh ko lakh mitaya kiye mita na sake sula ke qabr mein dete ho thapkiyan sahib ki mujh ko shor-e-qayamat bhi ab jaga na sake hamara daulat-e-duniya ne sar buland kiya ki dar pe dost ke sajde ko sar jhuka na sake hamare dil mein likhi thi magar teri ulfat ki hum jamal-e-jahan se fareb kha na sake bura ho rang-e-rukh-e-na-murad ka 'ali' kisi ka raaz kaleje mein hum chhupa na sake