kabhi diwar ko tarse kabhi dar ko tarse hum hue khana-ba-dosh aise ki ghar ko tarse jhut bolun to chipak jae zaban talu se jhut likkhun to mera hath hunar ko tarse qarya-er-ei-nama-baran ab ke kahan jaen ki jab tere pahlu mein bhi hum us ki khabar ko tarse sab ke sab tishna-e-takmil hain is shahr ke log koi dastar ko tarse koi sar ko tarse shahr-e-be-mehr mein zinda hain tere bin jaise dhup ke shahr ka bashinda shajar ko tarse