musafir ko safar ka masala hai

musafir ko safar ka masala hai
agar to hai magar ka masala hai

sahafi ko tere kachche makan se
hai lena kya khabar ka masala hai

main sahab marne aaya hun tum ko
ye mere apne sar ka masala hai

ghadi par waqt dekho kya hua hai
mujhe jaana hai ghar ka masala hai

ye hafte ya mahine ka nahin hai
mohabbat umr bhar ka masala hai

nahin ki tum nahin ho khub-surat
mujhe thoda satar ka masala hai

gutter kaise khula aur kyun khula hai
bhala ye bhi gutter ka masala hai

hamari muflisi bhi ishqiya hai
ki aalu hai matar ka masala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close