kashti-e-mai ko tasawwur mein rawan rakhte hain jeb khali hai magar dil to jawan rakhte hain hum ki mahrum hain didar-e-khudawandi se chashm-e-zahir to ba-har-su nigaran rakhte hain khanqahon se talluq hai na darbaron se nisbat-e-silsila-e-zulf-e-butan rakhte hain jhuk hi jata hai falak aankh jahan padti hai chum leti hai zamin panw jahan rakhte hain hum se aabaad hai mai-khana-e-hasti yani dil ko rakhte hain subuk-sar ko garan rakhte hain