zindagi ab teri be-masraf hai ghar ko chhod de khushk patta jis tarah apne shajar ko chhod de khwahishon ke pur-khatar jangal mein aawara na ghum dur manzil se jo kar de us dagar ko chhod de daeron ke is safar ki intiha koi nahin laut mehwar ki taraf aise safar ko chhod de kyon na sayyare bhi ulti chaal hi chalne lagen aadmi jab aadamiyyat ki dagar ko chhod de hai faqih-e-shahr ki khud qatilon se saz-baz dhund mat insaf us se us ke dar ko chhod de ban gae hain panw ki zanjir tere baam-o-dar zauq-e-manzil hai to apne baam-o-dar ko chhod de tutta hai jab koi rishta to bhar aata hai dil phir bhi aansu ponchh nakhl-e-be-samar ko chhod de tere aanchal ki hawa us ke muqaddar mein kahan gham se ghabra kar jo teri rahguzar ko chhod de us ne sikha bhi to kya sikha zamane se 'shabab' dusre ke aib jo le le hunar ko chhod de