kabhi hum par bhi wo but mehrban ho jae na-mumkin mohabbat bhi jahan mein kaamran ho jae na-mumkin kuchh is dhab se nizam-e-gulsitan ho jae na-mumkin bahaar aae kabhi daur-e-khizan ho jae na-mumkin maza jab hai ki hum ko qabil-e-mashq-e-sitam samjhe magar itna bhi wo but mehrban ho jae na-mumkin samajh kar dost dushman ko laga lete hain sine se hamein apnon pe ghairon ka guman ho jae na-mumkin meri har iltija par wo nahin kah dete hain fauran kabhi ek bar bhule se bhi han ho jae na-mumkin mohabbat ke asar ka kis tarah mujh ko yaqin aae yahan jo dil ki haalat hai wahan ho jae na-mumkin kuchh is had tak har ek bande ko dawa hai khudai ka ki ab bande pe bande ka guman ho jae na-mumkin tujhe ai nakhuda hargiz khuda hum kah nahin sakte kabhi qatra bhi bahr-e-bekaran ho jae na-mumkin meri manzil wo manzil hai kabhi jo mil nahin sakti sarab-e-dasht bhi aab-e-rawan ho jae na-mumkin maza jab hai qafas bhi aashiyan ke sath jal utthe kabhi yun mehrban barq-e-tapan ho jae na-mumkin khamoshi hi bayan kar de to kar de ain mumkin hai zaban se haal-e-dil apna bayan ho jae na-mumkin kabhi bhi dil jale ko kaun roke aah-o-nala se alag ai 'sehr' aatish se dhuan ho jae na-mumkin