kabhi iqrar hona tha kabhi inkar hona tha use kis kis tarah se dar-paye aazar hona tha suna ye tha bahut aasuda hain sahil ke bashinde magar tuti hui kashti mein dariya par hona tha sada-e-al-aman diwar-e-girya se palat aai muqaddar kufa o kabul ka jo mismar hona tha muqaddar ke nawishte mein jo likkha hai wahi hoga ye mat socho ki kis par kis tarah se war hona tha yahan hum ne kisi se dil lagaya hi nahin 'manzar' ki is duniya se aakhir ek din be-zar hona tha