kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya dimashq-e-maslahat o kufa-e-nifaq ke bich fughan-e-qafila-e-be-nawa ki qimat kya maal-e-izzat-e-sadat-e-ishq dekh ke hum badal gae to badalne pe itni hairat kya qimar-khana-e-hasti mein ek bazi par tamam umr laga di to phir shikayat kya farogh-e-sanat-e-qad-awari ka mausam hai subuk hue pe bhi nikla hai qadd-o-qamat kya