main pareshan hun milen chand niwale kaise us ko daulat wo mili hai ki sambhaale kaise ungliyan apni naginon se sajaane wale tujh ko lagte hain mere hath ke chhaale kaise ilm se pher lin tu ne jo nigahen apni phir tere zehn mein phutenge ujale kaise dekhte rah gae pani ki rawani hum log raste logon ne dariya mein nikale kaise umr lag jati hai ek ghar ko banane mein hamein makadiyan roz hi bun leti hain jale kaise tu ne 'akhlaq' qasam khai thi zabt-e-gham ki phir ye palkon pe nami honton pe nale kaise