kabhi jo dhup hamare makan mein aa jae to saya-dar shajar bhi aman mein aa jae main shahzada nahin to faqir hi behtar kahin to zikr mera dastan mein aa jae main tera nam saliqe se to pukarun magar khuda-na-khwasta luknat zaban mein aa jae kise dubona hai aur kis ko par karna hai shuur itna to aab-e-rawan mein aa jae main ek lamhe ko sadiyon ki zindagi samjhun mera yaqin jo hisar-e-guman mein aa jae jhulas chuka hai bahut dhup mein badan mera so us se kahta hun ab saeban mein aa jae main apni aql se kuchh aur kaam le lunga kabhi ye dil bhi mera imtihan mein aa jae safar ki sari aziyyat pe khak udti hai bhatak ke koi agar karwan mein aa jae main jis ko raaz batata hun apni khalwat ke ajab nahin ki saf-e-dushmanan mein aa jae