khwab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujh ko laga jibril ka shahpar mera bistar mujh ko apne maqsad ke liye lafz bana kar mujh ko koi daudata hai kaghaz ki sadak par mujh ko das na le dekho kahin dhup ka manzar mujh ko tum ne bheja to hai bal khati sadak par mujh ko sab ko main un ki kitabon mein nazar aata hun log padhte hain tere shahr mein ghar ghar mujh ko kyun na ghabraun ki tanha hun ghana hai jangal dur se dekhe hai sannate ka lashkar mujh ko kyun na sahra ko nichodun ki meri pyas bujhe dega ek qatra na kanjus samundar mujh ko nind jab tak thi meri aankhon mein mahfuz tha main qatl lamhon ne kiya khwab se bahar mujh ko meri aankhon ke dahakte hue shole pa na ja sard kitna hun samajh hath se chhu kar mujh ko wo pighalta hai ki 'shaariq' mera tan jalta hai dekhe rakh kar koi suraj ke barabar mujh ko