rulwa ke mujhko yar gunahgar kar nahin

rulwa ke mujh ko yar gunahgar kar nahin
aankhen hain tar to hon mera daman to tar nahin

ummid-e-wasl se bhi to sadma na kam hua
kya dard jaega jo dawa ka asar nahin

din ko bhi dagh-e-dil ki na kam hogi raushni
ye lau hi aur hai ye charagh-e-sahar nahin

tanha chalen hain marka-e-ishq jhelne
un ki taraf khudai hai koi idhar nahin

khali safai-qalb se behtar hai dagh-e-ishq
kya aib hai ki jis ke muqabil hunar nahin

qatil ki rah dekh le dam bhar na zahr kha
ai dil qaza ko aane de be-maut mar nahin

kyunkar yahan na ek hi karwat pada rahun
hu ka maqam gor ki manzil hai ghar nahin

ran-khan padenge jab kahin dikhlaega wo shakl
be-kisht-e-khun hui ye muhim ho ke sar nahin

aankhen jhapak rahi hain meri barq-e-husn se
pesh-e-nazar ho tum mujhe tab-e-nazar nahin

yaro batao kis taraf aankhen bichhaun main
us shokh ki kidhar ko hai aamad kidhar nahin

banda-nawaz sab hain ruku o sujud mein
taat se ghafil aap ki koi bashar nahin

pariyon ke pas jaun main kyun dil ko bechne
sauda jo mol lun ye mujhe dard-e-sar nahin

dard-e-firaq-e-yar se donon hain be-qarar
qabu mein dil nahin mutahammil jigar nahin

rah-e-adam mein sath rahegi teri hawas
parwa nahin na ho jo koi ham-safar nahin

khalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi
wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin

uthwa ke apni bazm se dil ko mere na tod
pahlu mein de ke ja mujhe barbaad kar nahin

hasti kidhar hai aalam-e-arwah hai kahan
ghaflat-zada hun mujh ko kahin ki khabar nahin

zanjir utar gai tera diwana mar gaya
sannata qaid-khane mein hai shor-o-shar nahin

chandra ke mujh ko bole wo aakhir jo shab hui
faq ho gaya hai rang kisi ka sahar nahin

barpa hai hashr-o-nashr jo raftar-e-yar se
ye kaun sa chalan hai qayamat agar nahin

durr-e-najaf to jism hai us naznin ka
mu-e-najaf mein baal pada hai kamar nahin

didar ka laga ke main aaya hun aasra
ummid-war hun mujhe mayus kar nahin

yaro sitam hua hui aakhir shab-e-visal
sina 'sharaf' ye kut rahe hain gajar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close