tujh se bichhde hain to ab kis se milati hai hamein zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein markaz-e-dida-o-dil tera tasawwur tha kabhi aaj is baat pe kitni hansi aati hai hamein phir kahin khwab o haqiqat ka tasadum hoga phir koi manzil-e-be-nam bulati hai hamein dil mein wo dard na aankhon mein wo tughyani hai jaane kis samt ye duniya liye jati hai hamein gardish-e-waqt ka kitna bada ehsan hai ki aaj ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein