wahm sabit hue sab khwab suhane tere yaad karte hain magar log fasane tere kash wo din na kabhi aae ki tu aa jae ras aate hain mere ji ko bahane tere aisi uftad padi apni khabar bhi na rahi hum to aae the yahan rang jamane tere kal chhupa rakhte the khud se bhi mohabbat apni aaj aae hain tujhe dagh dikhane tere khalq ka dhyan hatate rahe kante kya kya raaz ifsha kiye sab baad-e-saba ne tere dard kya kya na mile shauq-e-talab se apne zakhm kya kya na diye zauq-e-haya ne tere juz tere chahne wala tha na un ka koi laut kar aae na 'shohrat' wo zamane tere