kabhi khizan kabhi kaifiyyat-e-bahaar to hai ye dhup chhanw ka mausam bhi khush-gawar to hai hawa chaman ki na ras aa saki to is se kya hamare khun se khak us ki lala-zar to hai ye aur baat ki fitrat ko said kar na sake sabil chunne ka insan ko ikhtiyar to hai hamare gham ka mudawa mile mile na mile hamari jehd se hasil hamein qarar to hai sahab-e-dard ka saya ghana hai aaj bahut chadhegi dhup magar kal ye eatibar to hai ye baat tai hai ki dil ka jumud tutega faza-e-zehn pe chhaya hua ghubar to hai nigah-e-naqd ki taskin ke waste 'jauhar' mere kalam mein talkhi-e-khush-gawar to hai