kya hai gar be-sabaat hain hum log hasil-e-kaenat hain hum log sina-e-waqt mein dhadakte hain taza-tar wardat hain hum log hum se pata hai nur ru-e-sahar waise kahne ko raat hain hum log hum se kuchh bhi nahin hai na-mumkin fateh-e-mumkinat hain hum log zakhm khate hain muskuraate hain khugar-e-hadsat hain hum log pyas apni bujha nahi sakte go ba-zahir furaat hain hum log apni manzil nahin koi 'jauhar' rah-guzar-e-hayat hain hum log