rafta-rafta gham se dil ko rabt paida ho gaya

rafta-rafta gham se dil ko rabt paida ho gaya
sahte sahte sakhtiyan patthar kaleja ho gaya

ek hi hichki mein sara khatm qissa ho gaya
aaj bimar-e-mohabbat ka mudawa ho gaya

ghair ke mazkur par takrar-o-hujjat badh gai
baaton hi baaton mein un se aaj jhagda ho gaya

hijr ki ye raat ya-rab kis tarah hogi basar
sham hi se ghar mein mere hashr barpa ho gaya

kaam sidhe-pan se ulfat mein koi chalta nahin
aa gae jab hum kaji par charkh sidha ho gaya

dasht tha sunsan bilkul qais ke marne ke baad
dam se wahshi ke tere aabaad sahra ho gaya

ho gae mujh se mukhatab haal-e-dil sunte rahe
meri surat par unhen dushman ka dhoka ho gaya

ye shab-e-hijran ki tariki ka hai ab tak asar
roz-e-raushan mein mere ghar mein andhera ho gaya

chain tujh ko bhi na hasil ho kabhi kambakht dil
teri betabi se main ulfat mein ruswa ho gaya

ye haqiqat hai use hasil hui mearaj-e-ishq
yar ke naqsh-e-qadam par jis ka sajda ho gaya

ishq ke aazar paiham main ne jhele is qadar
ek ibrat ka muraqqa main sarapa ho gaya

hamdamo kaise bataen lazzat-e-zakhm-e-darun
ban gaya nasur wo jo zakhm achchha ho gaya

hijr ki tarik shab us par balaon ka hujum
kya bataen raat ko is ghar mein kya kya ho gaya

un ki padna thi nazar pahlu se dil jata raha
dam-zadan mein saneha ye ruh-farsa ho gaya

aa padi hai is tarah ki ham-nashin uftad-e-ishq
zindagi ka zikr kya dushwar marna ho gaya

gham ghalat karte hain 'ishrat' is tarah se hijr mein
ro liye kuchh der dil ka bojh halka ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close