khushi se zist ka har dukh uthae jate hain hum ahl-e-dil ki riwayat nibhae jate hain junun ki rah mein bujh bujh ke ab bhi diwane charagh shola-e-jaan se jalae jate hain wo fard-e-jurm hi ai munsifo nahin meri mujhe ye faisle jis par sunae jate hain talluqat mein do tarfa sard-mehri hai bas ek waza ko donon nibhae jate hain khushi to dhunde bhi is daur mein nahin milti ye kaun log hain jo muskurae jate hain