main 'ishq kar na sakunga naya hasin ladki hanuz zehn mein hai sabiqa hasin ladki ba-zid na ho ki udasi tujhe bhi aa legi tujhe pata hi nahin dukh mera hasin ladki taras na kha meri haalat pe ashk-bar na ho kaha bhi tha na tujhe laut ja hasin ladki please baat samajh mujh se ab nahin hoga na kar sakunga tera haq ada hasin ladki samajh raha hun tujhe par main chahta hi nahin kitab-e-husn ho dimak-zada hasin ladki 'mudassir' us se kaho ja ke us ko samjhae koi na aaega us ki jagah hasin ladki