kabhi kisi se na hum ne koi gila rakkha hazar zakhm sahe aur dil bada rakkha charagh yun to sar-e-taq-e-dil kai the magar tumhaari lau ko hamesha zara juda rakkha khirad se puchha junun ka moamla kya hai junun ke aage khirad ka moamla rakkha khayal ruh ke aaram se hataya nahin jo khak tha so use khak mein mila rakkha hazar shukr tera ai mere khuda-e-junun ki mujh ko rah-e-khirad se gurez-pa rakkha chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal ye kam nahin ki tere ranj ko bacha rakkha wo ek zulf ki lipti rahi rag-e-jaan se wo ek nazar ki hamein jis ne mubtala rakkha bas ek aan mein guzra main kis taghayyur se kisi ne sar pe tawajjoh se hath kya rakkha sunai apni kahani bade saliqe se kahin kahin pe fasane mein waqia rakkha suna jo shor ki wo shisha-gar kamal ka hai to hum lapak ke gae aur qalb ja rakkha main jaanta tha ki duniya jo hai wo hai hi nahin so khud ko khwahish-e-duniya se mawara rakkha mere junun ne kiye radd wajud aur adam alag hi tarah se hone ka silsila rakkha khushi si kis ne hamesha malal mein rakkhi khushi mein kis ne hamesha malal sa rakkha kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq charagh ek bujha aur dusra rakkha nigah-dar mera tha mere siwa na koi so apni zat pe pahra bahut kada rakkha tu pas tha to rahe mahw dekhne mein tujhe visal ko bhi tere hijr par utha rakkha tera jamal to tujh par kabhi khulega nahin hamare baad bata aaine mein kya rakkha har ek shab tha yahi tere khush-guman ka haal diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha hamin pe fash kiye raaz-ha-e-harf-o-sukhan to phir hamein hi tamasha sa kyun bana rakkha mila tha ek yahi dil hamein bhi aap ko bhi so hum ne ishq rakha aap ne khuda rakkha khizan thi aur khizan si khizan khuda ki panah tera khayal tha jis ne hara-bhara rakkha jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua 'irfan' to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha