likh kar waraq-e-dil se mitane nahin hote kuchh lafz hain aise jo purane nahin hote jab chahe koi phunk de khwabon ke nasheman aankhon ke ujadne ke zamane nahin hote jo zakhm azizon ne mohabbat se diye hon wo zakhm zamane ko dikhane nahin hote ho jae jahan sham wahin un ka basera aawara parindon ke thikane nahin hote be-wajh talluq koi be-nam rifaqat jine ke liye kam ye bahane nahin hote kahne ko to is shahr mein kuchh bhi nahin badla mausam magar ab utne suhane nahin hote sine mein kasak ban ke base rahte hain barson lamhe jo palat kar kabhi aane nahin hote aashufta-sari mein hunar-e-harf-o-nawa kya lafzon mein bayan gham ke fasane nahin hote 'makhmur' ye ab kya hai ki bar-e-gham-e-dil se bojhal mere ehsas ke shane nahin hote