lijiye tabani-e-alam ke saman ho gae dil ke zarre ud ke har jaanib pareshan ho gae dard-e-tanhai se mar jaana to kuchh mushkil na tha kya kahen gham se magar kuchh ahd-o-paiman ho gae iltifat-e-dost ka mumkin nahin koi sila kam hai jaan-o-dil jo sarf-e-shukr-e-ehsan ho gae tujh se kya len intiqam ai khak-e-be-barg-o-nawa wo kahan hain mehr-o-mah tujh mein jo pinhan ho gae dawat-e-jalwa hai phir barq-e-nigah-e-naz ko jama phir hasti ke ajza-e-pareshan ho gae ab main samjha sina-e-sozan ke shaq hone ka raaz aap pinhan kya hue goya numayan ho gae jin ko hona hi na tha rah-e-mohabbat mein ghubar kis tarah wo khak ke putle phir insan ho gae khak-e-dil ke chand zarre ud gae the ek din ban ke tare aasmanon par darakhshan ho gae kuchh khayal-e-dost aaya tha ki aa pahunchi bahaar jis taraf dekha gulistan hi gulistan ho gae husn ne roz-e-azal jab rukh se sarkai naqab chand jalwe rang ban kar bazm-e-imkan ho gae chha raha hai rang har jaanib bahaar-e-husn ka wa hain jin ke dida-e-dil gul-badaman ho gae rafta rafta aarzu-e-rastagari mit gai rah ke zindan mein 'jigar' aazad-e-zindan ho gae